Saturday, 5 September 2015

Guru

Gyan Ka bhandaar hai jo
Doobte ko tinke ka asaar hai jo
Ishvar ka asli akaar hai jo
Shakti ka sanchaar hai jo

Guru hi gyan ka path padhata hai
Guru hi sach jhuth ka bodh karata hai
Guru hi apne haq ke liye ladna sikhata hai
Guru hi insaan ko insaan banata hai

Dronacharya bhi guru hai
Vedvyas bhi guru hai
Chankya bhi guru hai
Samarth Ramdas bhi guru hai

Guru hi vyaktitva ka vikas karta hai
Guru hi naye yug ka agaaz karta hai
Guru hi buraiyo pe prahaar karta hai

Isiliye Guru ki pooja sara sansaar karta hai 

1 comment: