Wednesday, 2 September 2015

Darr Lagta Hai Mujhko

Darr lagta hai mujhko, duniya ki yh bhid dekhkar,
Jaha har koi dekhta hai tamasha, keval paisa fenk kr,
Paisa aisi chiz hai, jise koi kehta aham hai, koi kehta vaham hai,
Koi kehta ye to apna apna karam hai, ar upar vale ki raham hai.

                                   Kise dosh du, smaj me ho rahe anyayo ke liye,
Koi to hoga masiha, garib lachaar ashayo ke liye,
Har jagah bas maramari hi dikhai de rahi hai,
Ab kya kare sarkar hi to sabko dhilai de rahi hai,
Jo bhrashtachar ko galat btata hai, vo khud hi bhrashtachari paya jata hai,
Aam janta jinki karti hai andh bhakti, nahi hai unme nek kam krne ki shakti,
Kya ummid kare hum, uchit nyay dilane vale nyayaly se,
Nyay to tab bhi nahi milta, jab bande ka dana pani uth jata hai shavalay se.

Ek taraf berojgari ka bol bala hai,
Dusri taraf baba vairagiyo ne har jagah apna danka baja dala hai.
Ek taraf desh vikas ke path pe age badh raha hai,
Dusri taraf in baba logo ka jhutha khumaar logo ke sir pe din b din chad rha hai.

Apne sath galat ho to duniya ko kosa jata hai,
Per khud kabhi dusro ke sath acha kerne ke bare me nahi socha jata hai.
Yh desh kab sudhrega, jo vyakti apko asa bolta milta hai,
Vahi dusre pal, petrol me diesel, ar dhudh me pani gholta milta hai.
Jis maa ko insaan bhagwan se bhi upr smjhta hai,
Phir q usi maa ke naam pe dusro ko gali diya karta hai.
Dusre ki chodho, pehle khud ko to sudharo yaaro,
Kabhi to dil se ishvar, allah ar isa ko pukaro yaaro.
Dosto is desh ki bagdor apne hi hatho me hai,
dikkat yh hai ki junnon hmare hatho me nahi keval bato me hai.

Yahi sochte sochte mudda yahi khtm ho jata hai,
Rat beet jati hai, ar naya din nikal ata hai,
Phir shuru ho jati hai, duniyadari, smaj ar sahi galat ki bate,
Jab kisike sath hota hai kuch galat, ar koi nahi deta hai uska sath,
Tab phir se karti hu mai, apni kavita ki shuruat

Darr agta hai mujhko, duniya ki yh bhid dekhkar,
Jaha har koi dekhta hai tamasha, keval paisa fenk kr.....

1 comment: