Darr lagta hai mujhko, duniya
ki yh bhid dekhkar,
Jaha har koi dekhta hai
tamasha, keval paisa fenk kr,
Paisa aisi chiz hai, jise koi
kehta aham hai, koi kehta vaham hai,
Koi kehta ye to apna apna karam
hai, ar upar vale ki raham hai.
Kise dosh du,
smaj me ho rahe anyayo ke liye,
Koi to hoga masiha, garib
lachaar ashayo ke liye,
Har jagah bas maramari hi
dikhai de rahi hai,
Ab kya kare sarkar hi to
sabko dhilai de rahi hai,
Jo bhrashtachar ko galat
btata hai, vo khud hi bhrashtachari paya jata hai,
Aam janta jinki karti hai
andh bhakti, nahi hai unme nek kam krne ki shakti,
Kya ummid kare hum, uchit
nyay dilane vale nyayaly se,
Nyay to tab bhi nahi milta,
jab bande ka dana pani uth jata hai shavalay se.
Ek taraf berojgari ka bol
bala hai,
Dusri taraf baba vairagiyo ne
har jagah apna danka baja dala hai.
Ek taraf desh vikas ke path
pe age badh raha hai,
Dusri taraf in baba logo ka
jhutha khumaar logo ke sir pe din b din chad rha hai.
Apne sath galat ho to duniya
ko kosa jata hai,
Per khud kabhi dusro ke sath
acha kerne ke bare me nahi socha jata hai.
Yh desh kab sudhrega, jo
vyakti apko asa bolta milta hai,
Vahi dusre pal, petrol me
diesel, ar dhudh me pani gholta milta hai.
Jis maa ko insaan bhagwan se
bhi upr smjhta hai,
Phir q usi maa ke naam pe
dusro ko gali diya karta hai.
Dusre ki chodho, pehle khud
ko to sudharo yaaro,
Kabhi to dil se ishvar, allah
ar isa ko pukaro yaaro.
Dosto is desh ki bagdor apne
hi hatho me hai,
dikkat yh hai ki junnon hmare
hatho me nahi keval bato me hai.
Yahi sochte sochte mudda yahi
khtm ho jata hai,
Rat beet jati hai, ar naya
din nikal ata hai,
Phir shuru ho jati hai,
duniyadari, smaj ar sahi galat ki bate,
Jab kisike sath hota hai kuch
galat, ar koi nahi deta hai uska sath,
Tab phir se karti hu mai, apni kavita ki shuruat
Darr agta hai mujhko, duniya ki yh bhid dekhkar,
Jaha har koi dekhta hai tamasha, keval paisa fenk kr.....
Superb :)
ReplyDelete