Hu to ek ladki hi naa,
janam lia mahlo jaise ghar
mein,
chaav rahi mata pita ki sir
pe,
nahi seekha jeena kabhi darr
ke,
kuch bhi kahti rahu per mai,
hu to ek ladki hi naa.
jo maaga turant mujhe mila,
naa hai koi shikva, naa hi
koi gila,
hey Ishvar her janam mein
yahi maa baap mujhe dila,
jinhone mere bure vyvhar ka
bhi dia hmesha acha hi sila,
phir yaad ata hai mujhe,
kuch bhi kahti rahu per mai,
hu to ek ladki hi naa.
jo chti hu, vo karti hu,
nahi kisi se mein darti hu,
kuch banne ka sapna dil mein
liye,
mai bhi lagan ke sath padhti
hu,
pir yad ata hain
mujhe........................................................
ghar se niklti hu jab mai
bahar,
dil mein darr liye ar ankho
mein sahas,
meri bhi hai kuch icchayein,
meri bhi hai chahat,
kaise pura karu unhe, kaise
du khud ko rahat,
pir yaad ata hai
mujhe...................................................
shaam hone se pahle ghar a
jana, asa maa khti hai,
ek ladki hi to in niyam
kanoono ko zindagi bhar sahti hai,
phir bhi vo dusro ki khushiyo
mein hi khush rhti hai,
jab akeli hoti hai, tab uski
ankho se nadiyaa bhti hai,
pir yaad ata hai
mujhe....................................................
koi kuch bhi kehta rahe, mein
hmesha chup rahugi,
koi kuch bhi galat kre mere
sath, mein chup rahkr sahugi,
virodh karu bhi to kiske dum
pe,
apni vedna mein kisse kahugi,
pir yaad ata hai
mujhe......................................................
q banaya upar vale tune
mujhe,
jiski khud ki koi pehchaan
nahi.
kitna bhi nyochavar kar du
apni khushiya kisike liye,
phir bhi kisi ki nazro mein
mera koi ahsaan nahi.
phir yaad ata hai
mujhe....................................................
ant mein mai guzaarish karti
hu aap sabse,
samman ki guhaar kar rahi hu
kab se,
tumse bhi judi hu mai kisi
naa kisi roop mein,
bahan ka asra musibat mein,
maa ka saya dhoop mein,
mai hi hu durga, mai hi hu
kali,
raham karo mujhpe, meri ye
kavita na jaye yuhi khali,
apni soch ko kuch to badlo,
mat karo bura kisi ladki ke sath,
tum bhi ho kisi ladki ke
bhai, kisi ladki ke baap,
aaj yh pran lo, kar do apne
man ki gandagi ko saaf,
taki phir na yaad karna pade
mujhe,
k kuch b kahti rahu per mai,
hu to ek ladki hi naa...
No comments:
Post a Comment